Ek cheez samjhna hoga woh 100+ seat ke sapne se nikal jao sab log woh ek bahut bada jhut Tha ya mazak Tha. Pure Punjab Mein party sirf Malwa ke Bhatinda, Sangrur, Faridkot, Fathegrah Sahib, Ludhiana, Patiala Mein 50-60% strong Hai baaki jagah Hai bhi nahi.
1/n
1/n
Abhi thoda bahut Doaba or Majha side mehnat chal rahi Hai. Aur jyada mehnat hogi toh 10-12 seat ka target Bana sakti party. Or Malwa Mein ye Jo 50-60% wala Hai usko 80-90% karna padega tabhi asal fight Mein aayegi. Aaj ka chunav toh kaafi weak area Mein Tha or first step Acha tha
Ki itne candidate mila ab unko target Dena chahiye. Kuch independent Hai unko jodna chahiye or mission - vision with Punjabi face chalna chahiye. Yeh Raghav wagera backdoor Rahe toh jyada Acha Hai. Media or SM thoda Acha manage karna chahiye Punjab Mein.
Har booth volunteer ko target Dena chahiye at least 250+ logon tak Punjab Mein kya karege ye mission jaaye na ki Delhi Mein hum kya Kiya. Pata Hai Delhi Mein Acha Kiya ab aage kya woh sawal pe atak jaate ho.
Road Map dikhao or yaad rakhna border state Hai kaafi sensitive Hai Pura election ghum jata Hai iss narrative Mein uspe soch samjhke bolo. Voter base ko broader Karo. Mujhe nahi Pata kitne Women Voters tak party abhi tak reach ki Hai?? Unka vote Delhi wapas dilwai.
Main point Har voter kisika fix nahi Hota. Delhi se ye sikhe Hai ki AAP ko Har party ka vote mil sakta Hai chahiye Muslims ho Dalit ho Jo traditionally Congress ke the fir baniya ho Jo traditionally BJP ke the. Toh uss level broader coalition niche karna hoga upar se jyada.